jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta JAVED AKHTAR

jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta
JAVED AKHTAR


jidhar jaate haiñ sab jaanā udhar achchhā nahīñ lagtā 

mujhe pāmāl rastoñ kā safar achchhā nahīñ lagtā 

ġhalat bātoñ ko ḳhāmoshī se sunñā haamī bhar lenā 

bahut haiñ fā.ede is meñ magar achchhā nahīñ lagtā 

mujhe dushman se bhī ḳhuddārī kī ummīd rahtī hai 

kisī kā bhī ho sar qadmoñ meñ sar achchhā nahīñ lagtā 

bulandī par unheñ miTTī kī ḳhushbū tak nahīñ aatī 

ye vo shāḳheñ haiñ jin ko ab shajar achchhā nahīñ lagtā 

ye kyuuñ baaqī rahe ātish-zano ye bhī jalā Daalo 

ki sab be-ghar hoñ aur merā ho ghar achchhā nahīñ lagtā 

Comments

Popular Posts

خیال جس کا تھا مجھے خیال میں ملا مجھے

ظالم دسمبر